• June 26, 2024

10 Bodybuilding tips beginners or teens ke liye

Hello Friends

Aksar dekha jaata hai ki log achi body or health ko paane ke liye gym ko join karte hai or jald he desired results naa milne ke kaaran hataash bhi ho jaate hai. Iska sabse bada kaaran hai lack of knowledge yaani sahi jaankaari ki kami hona. is article me main aise 10 tips aapke sath share karne wala hu jo aapko body banana ke shuruaati time mein bohut kaam aaenge.

bodybuilding tips

10 Bodybuilding tips for beginners and teens

  • Choose your goal

Sabse pehle aap apna ek goal choose kare jo ki bodybuilding mein bohut zaruri hota hai. for example agar aap mote hai to sabse pehle aap apna wajan kam karne ka goal set kare. Kyuki yadi aapki body me fat hoga to wo aapke muscles ko block karke rakhega or aap chaahte hue bhi body nahi bana paaenge. Or diet bhi apne goal ke hisaab se change karte rahe. Fat loss, muscle building or sabhi tareh ke goals ke liye alag alag diet hoti hai jo aap apne gym coach se apne goal ke according banwa sakte hain.

  • Choose a good gym partner

Gym partner aisa hona chahiye jiske fitness goals aapse match karte ho. So that aap dono ek jaisa workout saath kar paaye. Aapka partner fitness ko lekar serious hona chahiye. Otherwise aap bhi apne target se bhatak jaaenge. Kyuki ek serious fitness partner khud bhi motivate rahega or aapko bhi samay ke sath sath motivate karega. Jo ki fitness ke liye bohut zyada zaruri hai.

  • Use less weights

Aap gym ki shuruaat mein Arnold banne ka naa soche. Aksar dekha jaata hai ki gym ke shuruaati dino mein log josh mein hosh kho dete hain. Or zyada weights uthaane ki galti kar dete hai. jisse unke sharir me cramps pad jaate hai or unka shuruaati experience kharab ho jata hai. isliye shuruaat me kam wajan uthaaye or dhire dhire wajan badhaate jaaye. Agar wajan aap systematically badhaaenge to isse aapko bohut faayda hone wala hai.

  • Don’t be a copycat

Copycat naa bane. Aksar gym mein aisa hota hai ki hum dusro ko dekhke exercise karna start kar dete hai jiski body humse achi hoti hai usko dekh kar. Hume lagta hai ki jab ye exercise karke iski body ban sakti hai to hamari body kyu nahi ban sakti. Lekin hume ye nahi pata hota ke wo kabse bodybuilding kar raha hai or kis level pe kar raha hai. kyuki use gym karte hue bohut time ho gaya hoga or usne apni exercise advance level ki start kardi hai. isliye kabhi bhi dusro ko dekh kar exercise naa kare.

  • Ask your trainer

Humesha apne gym ke coach ya trainer se he exercise ke bare mein puche ya salaah lein. Kyuki starting mein hume maalum nahi hota ki hume kis din kya exercise karni hai or kis exercise ke baad konsi exercise karni hai. isliye chaahe jitni baar apne gym coach se puchna pade, bina sharmaaye use aap puche zarur. Kyuki yahi unka kaam hai jiske liye aap unhe paise de rahe hai ya pay kar rahe hain. Or kabhi bhi apne gym coach se supplement naa mangwaaye jab tak aapko uske upar 100 percent bharosa na ho. Kyuki kabhi kabhi wo paise bachaane ke chakkar mein aapko asli supplement ke daam mein nakli supplement bhi de sakta hai. aisa mere sath ho chuka hai isliye aap logo ke sath share kar raha hu.

  • Warm’up is must

Warm’up is must before exercise. Ek ache workout session se pehle warm up karna bohut zaruri hai. warm up muscles ko flexible bana deta hai jisse workout ke dauraan injuries ke chances bohut kam ho jaate hai. iske alawa warm up body mein achi energy dene waale hormones ko bhi produce karta hai. or aapko workout ke liye prepare bhi karta hai. Bina warm up ke agar aap exercise kare to aapki body mein jageh jageh cramps aa sakte hai jinko jaane me kabhi kabhi hafto lag jaate hai or aap gym se door rehte hai. or fir us exercise ko karne se darte hai jisse aapko cramp aaya tha.

  • Stretching

During workout stretching bohut zaruri hai. stretching muscles ko workout se hone wali soojan se bachaati hai. iske alawa muscles ki flexibility, strength and endurance ko bhi badha deti hai. or most important ye set ke beech mein muscles recovery ke liye bohut helpful hai.

  • Stay hydrated

Always stay hydrated during workout. Workout ke dauraan body ko hydrated rakhna bohut zaruri hota hai. isliye beech beech mein thoda thoda paani peete rahein. Isse body ko workout ke liye energy milti rahegi or aap fatigue mehsus nahi karenge yaani jaldi thaka hua mehsus nahi karenge. Or aisa karke aap khud ko workout ke dauraan injuries and cramps se bhi bacha sakte hai.

  • Don’t overtrain

Apne workout ko 45 se 60 minute ka he rakhe else muscle injusries, cramps etc ka saamna karna pad sakta hai. or overtrain karne se muscles growth pe bhi bohut fark padta hai.

  • Have patience

Aap logo ko ye pata hona chahiye ki body raato raat nahi banti. Aap logo ki jaankaari ke liye batadu k eek achi body banane ke liye hume kam se kam 2 se 3 saal tak kadi mehnat karne ki zarurat hoti hai. Haan results aapko jaldi dikh sakte hai par achi body paane ke liye aapko thoda intzaar zarur karna pad sakta hai. ye naa soche ki 1 month mein he aapki achi body ban jaaegi.

Body banne ke process mein patience, dedication or decipline in sabki bohut zyada zarurat hoti hai. results zarur milenge agar aap meri ye baate ache se follow karte hai to (Conditions apply). To dosto asha karta hu aapko article pasand aya hoga or agar aapka is article se related koi sawaal ho to use niche comment box mein comment karna naa bhule. Dhanyawaad.

Also, Read this

No Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *