• July 05, 2024

BPA free bottles ke Benefits kya hai

Hello friends,

Bpa free paani ki bottles ke benefits

BPA mukt paani ki bottles charcha karne ke liye koi naya subject nahi hai. Agar aap kisi bhi sports ke samaan ki dukaan ya bartano ki dukaanmein jaaenge to aap apne aapko BPA free bottles ked her se ghira hua paaenge.

Lekin India mein abhi BPA free bottles ko leke jaagrukta kam hai. lekin ye chinta ka Vishay nahi hai kyuki wo din door nahi jab aapko har ghar mein BPA free water bottles dekhne ko milengi. Aane waale saalo me sab yahi bottles use karne wale hai Chaahe wo chote bachche ke liye ho, ya kisi jawaan vyakti ke liye ya fir kisi buzurg ke liye.

Read – 7 Best mobiles under 10000rs

bpa free bottles

Ismein koi sandeh nahin hai ke hum ek plastic ki duniya mein rehte hain. Hum subah uthate hain aur apne daanton ko plastic toothbrush se brush karate hain aur toothpaste ko plastic tube se nikaalte hain. Fir agar india ki baat kare to nahane ke liye plastic ki baltiya use karte hai plastic ke mug use karte hai.  

Hum ek plastic ki thailee se subeh apne liye doodh nikaalte hai or ek plastic bag se khud ke khaane ke liye anaaj nikaalte hain, pure din ek computer monitor or plastic se bane keyboard par kaam karate hain.

To aap shayad isse andaza laga sakte hai ki hum naa chahte hue bhi plastic se kitne ghire hue hai. Hum plastic se bani saari chizo se door to nahi bhaag sakte lekin kuch chizo ko zarur apne se door kar sakte hai jaise paani ki bottle wagehreh. Jitna ho sake BPA free plastic ka use kare.

Lekin sawaal yahi uthta hai ki what is BPA free bottles? Aakhir ye BPA free bottles hai kya aur ye normal paani ki bottles se kaise alag hai or bpa free bottles chunne ke kya kya faayde hai. “kya BPA free vaastav mein worth hai?” yeh ek aisa sawaal hai jise hum kaafi zyada sunte hain. Isliye, hum bpa free paani ki bottles ke kayi positive effects aapke saamne rakh rahe hai..

What is BPA?

Bisphenol-A, yaani (BPA) ek chemical compound hai jo aamtaur par water bottles ki manufacturing process ke dauraan unme paya jata hai. Agar hum kam maatra mein BPA ko consume karte hai to yeh hamari body ko koi nuksaan nahi pahuchata hai.

BPA ek common chemical hai jo plastic jaisi chizo yaani jo polythene jisme food pack kiya jata hai ya fir beverage ko pack kiya jata hai usme paya jata hai.

Yahi wajeh hai ke jo samaan aap kisi general store ya grocery store se kharidte hai usme bhi kuch maatra me BPA maujood hota hai. India jaise desho mein to log chaaye ko bhi plastic ki theliyo mein pack kar dete hai bina ye jaane ki usse kitne saare plastic ke chemical chaaye mein mix ho rahe hai jisme BPA bhi ek hai.

yeh bhi ek kaaran hai ki Indian government ne polythenes par ban lagaya. Lekin fir bhi india mein kayi jageho par abhi bhi polythenes ka upyog kiya jar aha hai.

Apni health ko Improve kare BPA free bottles ka use karke

Sirf environment ke liye he nahi balki human body ke liye bhi BPA free bottles kaafi laabhdaayak hain. Yadi aap zyada maatra mein BPA consume kar lete hai to isse aapko nimn likhit rog ho sakte hai

  • Breast cancer (Jo ki aaj kal bohut common ho raha hai)
  • Depression
  • Asthma
  • Purush napusankta
  • Dil se judi bimariya
  • Aapke daant ghis sakte hai
  • Loss of memory
  • Type 2 diabetes
  • Slowed learning (Bachcho mein)

Yadi aapko apni family ya apne aap se pyaar hai to aaj se he BPA free bottles ka use kare or in sabhi bimariyo se apne future ko secure kare. sath he ye bhi baat kar lete hai ki

BPA ko Kaise avoid kare ?

  • Foods aur packaging par BPA free label check karna an bhule
  • Sirf kaanch ke bartano waale food kharide or unhi me apna food store kare
  • Humesha fresh food use kare, naa ki plastic me packed food ko
  • Plastic containers mein apna khana kabhi microwave na kare
  • Apne bachcho ke liye BPA free plastic se bane khilone laaye
  • Apne bachcho ko breast feed kare jitna ho sake, naa ki plastic bottle mein

Kya BPA free bottles normal bottles se mehngi hai?

To ab ye baat saamne nikalke aati hai ki kya normal bottles sasti hoti hai, ya BPA free bottles inse mehngi hoti hai.

To aaj kal dekha jaaye to normal bottles or BPA free bottles ke price me zyada farak nahi reh gaya hai. yaani farak hai bhi to 19-20 ka.

Kyuki pichale dashak mein vaigyaanik pramaan badhate rahe, isalie zyada se zyada companies par apne products se BPA hataane ke liye dabaav daala gaya. Isliye kayi badi companies ne apne products me se sarkar ke dabaav ke kaaran BPA hata diya. Lekin ye india hai dosto isliye is bare me kuch khaas kaha nahi ja sakta.

Asha karte hai ki aapko ye article pasand aya hoga. agar ye article aapko pasand aya ho to ise apne dosto ke sath share karna na bhule.

Also, Read this

One Comment

  1. Grear 4 years ago

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *