• June 26, 2024

Home Made Ayurvedic Height Increase Supplement

 

Hello Friends

Dosto is article me hum baat karenge ki kisi ki ruki hui height ko increase kaise kar sakte hai or sath he hum baat karenge ki kitni age tak kisi ki height badhaayi jaa sakti hai or kisi ki height kitni age tak increase hoti hai. or aapko height badhaane ke liye kya diet leni chahiye. Yani aapko height badhane ke liye kon konse food khane chahiye. Or jin logo ki height bilkul ruk chuki hai, yaani ke wo log jo apni height ko lekar bilkul hataash ho chuke hai or unki height bilkul bhi badh nahi rahi hai. To aise log apni height ko 1.5 se 3 inch tak kaise badha sakte hai. chaahe unki age 21 se upar he kyu naa ho.

To aise logo ke liye hum ek ayurvedic height increase powder bataenge. Jise aap market se kharidke ghar par badi asaani se tyar kar sakte hain. Dosto aapki height naa badhne ki kya wajeh hoti hai or kin kaaran se aapki height increase nahi hoti or aapko apni umar ke sath apni height tezi se badhane ke liye kin baato ka dhayan rakhna chahiye iske bare me hum is article mein baat karenge.

Home Made ayurvedic Height Increase Supplement

Dosto bohut logo ka yahi sawaal hota hai ki kisiki height aakhir kitni age tak badhti hai. To main aapko batadu kisi bhi insaan ki height uske khan paan, uske genes or  uske life style par depend karti hai. Hamare sharir me HGH yani ke human growth hormone hote hai. jo ki hamari height ko increase karne me madad karte hai. Human body me alag alag kaam karne ke liye different hormones paaye jaate hain. Isme se ek hota hai human growth hormones. Or yahi hormones hamari height ko badhate hai. Hamare dimag mein ek pituitary gland granthi hoti hai jo ki in hormones ka main strot hoti hai. yahi granthi hamare pure sharir mein height growth ko badhaane wale human growth hormones ko bhejti hai. jisse hamare sharir ki lambayi badhti rehti hai.

Or ek samay ke baad pituitary gland in hormones ko sharir mein bhejna band kar deti hai. Jisse hamare sharir ka kad badhna ruk jaata hai. Yani ke ye granthi hormones ko 18 saal tak ki umar tak sharir mein bhejti hai. or 18 saal ke baad ye granthi in hormones ko bhejna kam kar deti hai. Jisse aapki height 18 saal ki umar ke baad thodi thodi badhti rehti hai 21 saal ki age tak. or ye dekhne me aya hai ki kuch vyakti ki lambayi 21 saal ki umar tak bhi badhti rehti hai utni he tezi se or kisi ki 18 saal se pehle he badhni ruk jaati hai. jiska main kaaran hota hai pituitary gland ke dwara bheje jaane waale human growth hormones (HGH). Yaani ke iska matlab hai ki ye granthi in hormones ko 21 saal ki umar ke baad bhi bhej sakti hai. or ye granthi hormones ko bhejna tab band karti hai jab hamare sharir me nutrients ki kami hone lagti hai.

Nutrients ki kami tab hoti hai jab aapki body mein protein, vitamin D, calcium or zinc ityaadi ki kami ho jaati hai. Dosto ye chaar chize aisi hai jo aapki height badhane ke liye most important hoti hai. To aaj hum aapko ek aisa ayurvedic powder bataenge jo aapki body mein block hui pituitary gland ki granthi ko active kar sakta hai. Yaani fir se ye granthi (HGH) human growth hormones ko bhejna start kar degi. Jisse aapki height firse badhna start ho sakti hai. To chaliye ab baat karte hai us ayurvedic powder ki. Is powder me humne 6 chize ek sath milani hai.

Caution – Kisi bhi chiz ko consume karne se pehle apne doctor se paramarsh zarur kare

Kaale til

Kale til aapki height badhaane me bohut madad karte hai. kale til se aapke sharir ki bones mazboot hoti hai. Isse aapke sharir ki haddiyo ka vikas badi he tezi se hota hai. kale til ke andar kayi tareh ke protein, vitamin hote hai or iske sath sath isme bharpur maatra mein fibers hote hai jo aapki paachan shakti ko mazboot banate hai. Anti-oxidant, Magnesium, or khanij jaise nutrients bhi bharpur maatra mein paaye jaate hai. Jo aapke sharir ke nutrients ko pura karne me sahayak hote hain. Jisse sharir mein human growth hormones(HGH) increase hone lagte hai.

Shilajit

shilajit

Shilajit ek natural ayurvedic medicine hai, iske powder ke bare mein to aap sabhi log jaante he honge or sath he iske benefits ke bare me bhi jaante honge ki shilajit kya kya kar sakta hai. shilajit hamari body mein stamina badhata hai, hume flexibility or strength pradaan karta hai, blood pressure ko control karne me hamari madad karta hai, weight loss me sahayak hota hai or sath he height increase karne me bhi madad karta hai aapke sharir me lachilapan laake. Shilajit hamare (HGH)human growth hormones ke liye bohut zaruri hota hai.

Ashwagandha (Indian Ginseng)

ashwagandha

Dosto jab bhi height badhaane ki baat aati hai to ashwagandha ka naam waha jarur liya jaata hai. Aap agar google pe search kare to aapko bohut articles aise mil jaenge jo bolenge ki ashwagandha height increase karta hai or bohut article aise bhi milenge jo bolenge ki ashwagandha se height increase nahi hoti. To aap ye keh sakte hai ki ashwagandha ko lekar mile jule vichaar logo ke man me rehte hai. Lekin ashwagandha ke andar aise minerals or nutrients paaye jaate hai jo aapke sharir ki haddiyo ko mazboot karte hai or unme vridhi karte hai. ashwagandha ke andar aise rasaayan paaye jaate hai jo ki aapke sharir mein human growth hormones ke level ko increase karke aapki height ko badhane me madad karte hai.

kaali musli

kaali musli

Kaali musli ek jadi buti hai jo asian countries jaise india, Malaysia, or Pakistan jaisi jageh paayi jaati hai.  Kaali musli Purane zamane se he height badhane ke liye istmaal ki jaa rahi hai. Ayurved me ye jadi buti height badhane ke liye bohut he asardar maani jaati hai. height badhaane ke sath sath ye dawa aapki skin achi karti hai, aapka pet saaf karti hai, aapki bhook badhaati hai or aapka stamina increase karti hai or aapki body ke andar energy increase karti hai, jisse apko kisi bhi tareh ka heavy kaam karne me problem nahi hoti.

Badaam powder

almonds

badaam ke andar vitamin E, high protein, fiber, magnesium, iron, potassium, phosphorus, or healthy fats achi maatra me paye jaate hai. Jis wajeh se ye bhi hamare sharir ke nutrient ki purti karne me bohut he zyada madad karta hai.

Camel milk powder

Camel milk powder ke andar protein, Vitamin C, lectric acid, iron, magnesium, vitamin A, carbohydrates,  vitamin E, fibers, sodium, calcium, Vitamin B, phosphorus, calcium, copper, megnese, zinc jaise bohut saare nutrients paaye jaate hai. jisse hamare sharir me poshak tatvo ki purti badi he tezi se hoti hai. Camel milk ke andar aise rasayan paaye jaate hai jo hamare sharir ke andar HGH ko badi he tezi se increase karte hai. jiski wajeh se hume height badhaane ka result bohut tezi se milta hai.

Ab baat karte hai isko banane ki. Dosto ye saari chize aapko powder ke roop me he leni hai. isko banane ke liye aapko in saari chizo ke powder ko aapas me barabar maatra mein mix kar lena hai. isko achi tareh mix karne ke baad jise aap ek supplement bhi keh sakte hai jo aapki height increase karega wo ghar par he tyar ho jaaega.

Dosto aapko ye saari chize ayurvedic ya medical store se asaani se mil jaaengi. Or aapko na mile to aap in sabhi powders ko online bhi asani se manga sakte ho jo shayad aapko discount pe bhi mil jaaye. Aapko ye ayurvedic supplement kam se kam 2.5 mahine tak istmaal karna hai, fir aapko iske result dekhne ko milenge.

Or ek baat dhyaan zarur rakhe ki aayurved aapke andar koi jaadu ya chamatkaar nahin kar sakata hai, yeh kisi insaan ki samaan roop se uske daily routine, diet mein santulan, uske physical or medical conditions par nirbhar karata hai. to, in sabhi ayurvedic products par vichaar karane ke baad, aap kuch physical exercise aur yog aasan kar sakate hain taaki aapki height badh sake aur aapke sharir ko lachila banaaya ja sake. Aap height increase karne ke liye konse yoga aasan kare yaha click karke dekh sakte hai.

Dosto agar is article se juda koi sawaal aapke man me hai to aap use comment box me type karke puch sakte hai. dhanyawaad

Also, Read this

No Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *