• July 01, 2024

Multivitamins kya hote hai or ye hume kyu leni chahiye or inke side effects

Hello friends

Pehle  baat karte hai ki multivitamins hote kya hai?

Multivitamins ek aisi tablet hai jinme kayi vibhinn tareh ke vitamins  or minerals ka ek mishran hota hai jo samaany roop se natural chizo me ya khaane ki chizo me mein pae jaate hain. Yadi hum apni diet se ye vitamins pure nahi kar paate to hume multivitamins tablets ki zarurat padti hai.

Multivitamins effects and side effects

Multivitamins me kon kon se vitamins or minerals hote hai?

Aam taur pe Multivitamins mein 13 vitamin aur kam se kam 16 minerals hote hai jo svaasthy ke lie aavashyak hain.  Jaise Vitamins mein

Vitamin B6

Vitamin B1

VitaminB2

Vitamin B3

Vitamin B12

Vitamin A

Vitamin C

Vitamin D

Vitamin E etc

Or Minerals mein

Magnesium

Calcium

Zinc

Biotin

Copper

Iodine

Chromium etc

Sharir ko in poshak tatvo ki bohut zarurat hoti hai body ke reproduction, maintenance or growth ke liye. Multivitamins mein inme se kayi vitamins aur minerals ho sakate hain, lekin alag-alag roopon aur maatra mein or jadee-bootiyon, amino acid aur faty acid jaisi aur bhi saamagree shaamil ho sakati hain. 

kuch maamlon mein, veh un sabhi poshak tatvon ko shaamil nahin karte hain jo upar diye gaye hai. Supplement industries mein nakli or dhokha dhadi ke kayi maamale saamane aae hain, isliye ek reputable company se supplement kharidna he samjhdaari hai.

Uske baad sawaal yahi aata hai ke hume multivitamins kyu leni chahiye?

To iska jawaab hai ke iska prayog tab kiya jata hai jab humari diet bekaar ho or diet se hume saare vitamins na mil paa rahe ho jisse hamare sharir me vitamins ki kami ho rahi ho, pregnant lady ko multivitamins diye jaate hai kyuki garbhavastha ke dauraan unke sharir me bhi vitamins ki kami ho jaati hai. or agar vitamins ki kami aapke sharir me hai to aapko naa chaahte hue bhi kayi bimaariya jakad leti hai jinko aap multivitamins tablet ke dwara he pura kar sakte hai. kyuki agar diet se hum pura karne chale us waqt jab hum bimaar hai to usme kaafi time lag jaega hume thik hone me. Isliye multivitamins ki tablets banayi gayi hai taaki hum vitamins ki kami jaldi puri kar sake. Vitamins shareer mein mahatvapoorn kaam karta hai or aapake svaasthay ko acha banae rakhane mein madad karate hain.

Haalhe mein ek adhyayan mein paaya gaya ki mahilaon mein, lekin purushon mein nahin, kam se kam 3 saalo ke liye multivitamin lene se heart disease se marne ka khatra 35% tak kam jokhim ho jata hai.

Multivitamins kaise use kare?

is dava ko generally muu ke dwara liya jata hai. iska koi injection nahi hota. Aamataur par ek baar ek din me ya jyada se jyada 2 baar ya doctor dwara nirdeshit taur mein ye grahan kiya jata hai. Package pe diye gaye sabhi directions ko dhyan purvak padhe or unhe follow kare. ya apane chikitsak dvaara nirdeshit anusaar len. Recommended dosage se jyada na lein. yadi aap kisi bhi jaankaari ke baare mein anishchit hain, to apane doctor ya pharmacist se paraamarsh karen.

Multivitamins ko niyamit roop se istmaal karein taaki iska sabase adhik laabh aapko mil sake. Multivitamins ko har din ek he samay par lein.

Multivitamins ke Side effects

Zyada maatra me supplements khana nutrition me sahi nahi hai.

Multivitamins zyada maatra me lene se Constipation, stomach upset or diarrhea ho sakta hai. aise prabhaav aamtaur per temporary hote hai or jaldi khatam bhi ho jaate hai jab aapka sharir multivitamins ka use too ho jata hai.

Agar aapke doctor ne is dava ko prescribed kiya hai, to yaad rakhen ki fir multivitamins ke good effects aapke liye side effects se zyada hai. Multivitamins ka use karne waale kayi logon par iske side effects nahin hote hain.

Agar aap apni diet mein bahut saare nutrients jaise vitamins or minerals khaate hain aur phir uske upar ek multivitamins tablets khaate hai, to aap nishchit roop se recommended dose se zyada nutrients apne sharir mein daal rahe hai jise overdosage he kaha jata hai.

Jo log smoking (dhumrapaan) adhik karte hain  unko beta-carotene ya vitamine A se door rehna chahiye. isse lung cancer hone ka khatara badh sakata hai.

Aap multivitamins ka upyog tabhi kare jab aapka doctor aapko salaah de. Kyuki bina kisi bimari ke aapko pata he nahi chalega ki aapko kis vitamin ya mineral ki kami ho rahi hai. Yadi aap koi bimari lekar kisi doctor ke paas jaate hai to wo sabse pehle aapko kahega ki aap ye ye test karwaye. Or jab aap who test karwaake apni report doctor ke paas leke jaaenge to he doctor aapko bataega ki aapko in vitamins ki kami hai jisse aapko ye bimari ho gayi hai. tab jaake koi multivitamine lein doctor ki salaah se.

To aasha karta hu ki aapko is aticle se kuch help mili hogi. Yadi aapko ye article acha laga to aap ise share kar sakte hai apne dosto ke sath. Or yadi is article se jude koi sawaal aapke man me hai to aap niche comment karke use puch sakte hai. dhanywaad

Also, Read this

No Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *